Sahir sahib's original ghazal was 'sanaa-Khwaan-e-taqdees-e-mashriq kahaaN haiN' (those who praise the pious eastern ways) which he simplified for the movie Pyaasa song 'jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN'.
ye kooche ye neelaam ghar dil-kashi ke
ye luT-te hue kaarawaaN zindagii ke
kahaaN haiN, kahaaN haiN muhaafiz Khudi ke?
Kooche = Streets
Nilaam Ghar = Auction HousesMuhaafiz Khudi ke = the protectors of pride
ye pur-pech galiyaaN, ye badnaam baazaar
ye gumnaam raahii, ye sikkoN ki jhaNkaar
ye ismat ke saude, ye saudoN pe takaraar
Jinhe..
pur= full of
ismat=Blessings,Pride,Honor
ye sadiyoN se be-Khauf sahmii sii galiyaaN
ye maslee hui adh-khulee zard kaliyaaN
ye bikati hui khokalii rang-raliyaaN
Jinhe..
Zard = yellowing
Be-rooh = soul-lesswo ujale dareechoN meiN paayal ki chhan-chhan
thaki haarii saaNsoN pe tabale ki dhan-dhan
ye be-ruuh kamroN meiN khaaNsii kii Than-Than
Jinhe ..ye phuuloN ke gajare, ye peekoN ke chheeNTe
ye be-baak nazreN, ye gustaaKh fiqare
ye Dhalake badan aur ye beemaar chehare
Jinhe ..
yahaaN peer bhii aa chuke haiN jawaaN bhi
tanuumand beTe bhi, abbaa miyaaN bhi
ye biwi bhi hai aur behan bhi hai, maaN bhi
Jinhe...
Peer = old, wise
tanuumand = healthy, fit
madad chaahti hai ye hawwaa ki beTi
yashodaa ki ham-jins raadhaa ki beTi
payaMbar ki ummat zulaiKhaa ki beTi
Jinhe..Hawwa-Eve
Hum-jins = breed
Payambar = prophet
Ummat = race
zaraa mulk ke raahbaroN ko bulaao
ye kuuche ye galiyaaN ye maNzar dikhaao
jinheN naaz hai hind par unako laao
jinhe naaz hai hind par vo kahaaN haiN?
kahaaN haiN kahaaN haiN kahaaN haiN?
raahbaroN = leaders
No comments:
Post a Comment